Mohabbat

Muhabbat baaqi rehne par Yaqeen kitna tha Dono ko,

Yahan har cheez Faani hai, Na Hum samjhe Na Tum samjhe

Re: Mohabbat

So u guys had something in common :p

Re: Mohabbat

Mujhe ye ghazal yaad aa gai

Jawani zindagani hai na tum samjhe na hum samjhe
Yeh ek aisi kahani hai na tum samjhe na hum samjhe

Hamare aur tumhare waaste main ek naya pun tha
Magar dunia purani hai na tum samjhe na hum samjhe

AyaaN kar di her ik per humne apni daastan e dil
Yeh kis kis se chupani hai na tum samjhe na hum samjhe

Jahan do dil milay dunia ne kante bo diye aksar
Yehi sab ki kahani hai na tum samjhe na hum samjhe

Muhabbat tum ne hum ne ek waqti chez samjhi
Muhabbat jawidani hai na tum samjhe na hum samjhe

Mata e husn o ulfat per yaqeen kitna tha dono ko
yahan her cheez faani hai na tum samjhe na hum samjhe

guzari ha jawani roothnay ma or mananay ma
ghadi bher ki jawani ha na tum samjhay na hum samjhay

**Mata e husn o ulfat per yaqeen kitna tha dono ko
yahan her cheez fani hai na tum samjhe na hum samjhe

**