mohabbat dil mohabbat jaan
mohabbat rooh ka darmaan
mohabbat moortee hai
aur kabhee jo dil aky mandir pur kahin toot jaayay to…
mohabbat kaanch kee gurriya
fiuza mian kisee kay haath say gir kur chhoot jaayay to…
mohabbat abla hai karb ka
aura gr phoot jaayay to…
mohabbat rog hotee hai
mohabbat saug hotee hai
mohabbat shaam hotee hai
mohabbat raat hotee hai
mohabbat jhilmilatee annkhon main barsaat hotee hai
mohabbat neend kee rutmain
haseen khwaabon kay arastyon pur
sulagtay rutjagon kee ghaat hotee hai
mohabbat zaat hotee hai
mohabbat zaat hotee hai!!!
to