Mohabbat khaab ki sorat,
nigahon main utartee hai kisi mehtaab ki sorat
sitarai arzoo kai is tarah sai jagmagatai hain
kai pehchani nahi jatee dil-e-betaab ki sorat!
mohabbat kai shajjar par khaab kai panchi utartai hain
to shakhain jaag uthti hain
thakai harai sitarai jab zameen sai baat kertai hain
to kab ki muntizar ankhon main
shamain jaag uthti hain
mohabbat in main jaltee hai charagh-e-aab ki sorat
mohabbat, khaab ki sorat
mohabbat dard ki sorat
guzashta mosamon ka istara ban kai rehti hai
shaban-e-hijr main, roshan sitara ban kai rehti hai
mandairon par charaghon ki loain jab tharthartee hain
nagr main naumeedi ki hawain sansanti hain
galee main jab koi ahat, koi saya nahi rehta
dukhai dil kai liyai jab koi bhi dhoka nahi rehta
ghamon kai bojh sai jab totnai lagtai hain shanai to
ye un pai hath rekhti hai
kisi hamdard ki sorat!
guzar jatai hain sarai kaflai jab dil ki bastee sai
fiza main tairtee hai dair tak
ye gard ki sorat,
mohabbat dard ki sorat!