"koi wada nahi hum main
na aapas main buhat baatain
na milnay main buhat shokhi
na aakhir-e-shab manajaatain
magar ek ankahi si hai
jo hum donon samajhtay hain
ajab ek sir khushi si hai
jo hum donon samajhtay hain
ye saaray dil ruba manzar
tilismi chandni raatain
sunaihri dhoop kay mausam
ya halkay sukh ki barsaatain
sabhi ek zid main rehtay hain
mujhay peyhaam ye kehtay hain
mohabbat yoon nahin achi
mohabbat yoon nahin achi..
Tajmahal …