Mohabbat Yaad Rakhti Hay...

:slight_smile:

**Wisaal-o-Hijr main..
Ya khuaab say mehroom aankhoon main..
kisi ehd-erafaqat main..
ke tanhai k jangal main..
Khiyaal-e-khaal-o-khad ki roshni k gehray badal main..
Chamakti dhoop main ya phir..
Kisi be-aber saaye main..
Kahin baarish main bhegay jism-o-jaan ke nasar paroon main..
Kahin hontoon pe sheroon ki mehkti aabshaaroon main..
Charaghon say saji shamoon main..
Ya be-noor raatoon main..
Seher ho roonma jaisay kahin baatoon hi baatoon main..
Koi lipta howa ho jis tarha..
Manzil ki khushboo main..
Kahin per titliyoon ke rang tasweerain banatay hoon..
Kahin per jugnuoon ki muthiyoon main roshni khud ko chupaati ho..

Kahin kaisa hi manzer ho..
Kahin kaisa hi mosam ho..
Teray saaray hawaaloon ko..
Teri saari misaaloon ko..

“MOHABBAT YAAD RAKHTI HAY”…
**

very nice :k:

Zabardast:)