Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

Muhabbat Say Reyhaa Hona Zarori Hogaya Hai
Mera Tujh Say Judaa Honaa Zarori Hogaya Hai

Wafa K Tajurbay Kartey Hoyee To Umar Guzri
Zara Saa Bewafa Hona Zarori Hogaya Hai

Meri Awaz Tanhayee Main Marti Ja Rahi Hai
Kisi Ka Ham’nawa Hona Zarori Hogaya Hai

Azab’bay’zulma’tey’Shab Hai K Ab Apne Lahoo Par
Koi Hur’fay’duaa Hona Zarori Hogaya Hai

Kahan Taak Hum In Bhujal Fazaoon Main Rahain Gay
Koi Ak Fais’laa Hona Zarori Hogaya Hai

Bhanwar Main Hai Kahee Barsoon Say Apni Kash’teye’jan
Kisi Ka Na’Khuda Hona Zarori Hogaya Hai

Yahan Charoon Taraf Hee Khuf Bharta Ja Raha Hai
Sukhaan Na’Ashnaa Hona Zarori Hogaya Hai

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

Wafa K Tajurbay Kartey Hoyee To Umar Guzri
Zara Saa Bewafa Hona Zarori Hogaya Hai

Jab insaan kachi pakki muhabbaton se uktata hai, to aisi baten karta hai. :)

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

Main yeh samjh ta hoon kay thora bewafa hona zaruri hai warna zindagi ka maza nahii ayega. or manay yaan na manay meray khayal say wafa ho kar bewafa hona or phir pyar wapiss lay aye dikhata hai kay kitna gehra pyar tha. ;)

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

Matlab bewafi se muhabbat main izafa hota hai :hmmm: lekin kehte hain ke dil ke sheeshe main agar ek baar baal ajae to phir muhabbat main kami aa jati hai.

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

haha.. lol... wafa krny mein jo maza ata hy na wo by-wafayi mein kahan... phir chahy wafa k badly b-wafayi hi mily..

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

How sadistic... ye daur Behashi Zewar ki Naik biviyin ki nahin.. ab to life1 ki kudiyon ki tarah deal karna padta hai dunia se.

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

han her kisi ko apna kam dil laga k emandari se kerna chahiay

MUJY WAFA KI TALAB HY MAGAR HER EK SE NAHI
KOE HEY US YAR-EY BEWAFA KI TARAH :biggthumb:

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

waise shayar hazraat chahe 15 bachon ke baap bhi bun jae.. phir bhi kehte hai unhe dunia main muhabbat nahi mili. aisa kiyun?

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

ye tu shayer hi bta skty hyn ub… hum jysy masoom log nhi :omg:

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

Kia bache bagher muhabbat ke ho jate hain :hmmm: logon main shukr ka fuqdaan hai.

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

SOmeone once said :

by all means, marry. If you get a good wife, you'll become happy; if you get a bad one, you'll become a philosopher.

toh yeh jo log kehtay hain unko muhabbat nahi milli,

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

shayri likh likh k un k dimagh 7 asmaan puhanch jaty hyn

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

Matlab muhabbat nahin mili ek philosophical statement hai..

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

What do you mean ? :)

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

mujy bhi aik sher yad agaya

TU JAHAN MARZI DIL AATA HI JA K MER:ROLLEYES:
ME TO SHUKER HI APNY GHAR MI THEK HUN

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

Ab ye sher kiyun yaad aya?

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

shuker hi yi nahi pucha kis ka hi:bizz:

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

:emmy: Nihar munh aise shair nahin kehne chahiye

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

:cb: nihar mu ese ghazal samne ae gi ti esa hi hoga

AAYA WADDA unhhhhhhh

Re: Mohabbat say rey ha hona zaruri hogaya

Wafa K Tajurbay Kartey Hoyee To Umar Guzri
Zara Saa Bewafa Hona Zarori Hogaya Hai

:k: