**Mohabbat Ky Mosam..
zamany ky sub mosamoN sy niraly..
bahar-o-khazaN in ki sub sy juda..
alag in ka sookha, alag hy ghata..
Mohabbat ky khity ki aab-o-hawa..
… maw’ra un anaasar sy jo..
mosamoN ky tagayur ki bunyad haiN..
ye zaman-o-makaN ky kam-o-baish sy aisy
Azaad haiN..
jaisy subah azal, jaisy sham-e-fanaa..
shab-o-roz aalam ky ahkaam ko..
ye Mohabbat ky mosam nhi manty..
zindagi ki musafat ky anjaam ko..
ye Mohabbat ky mosam nhi manty..
rafaaqat ki khushboo sy khali ho jo..
ye aisa koi manzar nhi daikhty..
WAFA k ilawa kisi kaam ko..
MOHABBAT ky mosam nahi manty…
**