tumhare tulkhiyoan say
aur tumharay na’tarasheda rawaiyon say
tumhare chote chote ranjishoan say
aur bari narazge say bhe
mohabbat kum nahin ho ge
tumhare shahar bhur say dil lagay lainay ki adut say
tumhare baiwafae say
tumhare bai’hisee say bhe
mohabbat kum nahin ho ge
ana ka durmiyaan aa kur
kaye baisakhta juzbay achanuk maar janay say
diloan ko zaat per say war janay say
kisi wadee main ja busnay
kisi sehra main rusta bhul janay
ya samandar paar janay say
mohabbat kum nahin ho ge
kisi kay jeet janay say, kisi kay haar janay say
mohabbat kum nahin ho ge