***Alfaz kay jhootay bandhan main
Garz kay gehray pardoN main
har shaks mohabbat karta hai
HalaNkay mohabbat kuch bhi nahi
sab jhootay rishtay naatay hain
sab dil rakhnay ki baatain hain
Kab kon kisi ka hota hai
sab asli roop chupatay hain
Ahsaas sey khaali log yahan
lafzoN kay teer chalatay hain
Ik baar nighahoN main aakay woh
Phir sari umar rulatay hain
Yeh ishq o mohabbat, mehr o wafa
Sub rasmi rasmi baatain hain
Har Shaks khud ki masti main
Bass apni khaatir jeeta hai…***