yeh kis nay keh dya tum say
mohabbat ki tijarat main
hamain nuqsan aya hai
k hum to aisay tajir hain
jo mitti k bhi badlay main
gohar e anmol lay ayen
bhala phir kesay mumkin tha
mohabbat ki tijarat main
khasara hum utha jayen
so har soday ki manind he
mohabbat main bhi hum nay to
khsaaray ko haraya hai
yeh kis nay keh dya tum say
mohabbat ki tijarat main
hamain nuqsan aya hai
hamaray ghum ko hum nay to
kabhi dugna na paya tha
koi bay naam andaisha
kaha hum nay kamaya tha
hamari sokhi ankhain kab
bhala sairab hoti thin
zara shuhrat k badlay dil
manon ruswayi laya hai
hamara dard seenay main
ussi k dum say aya hai
jo uss k pass tha kal tak
hamaray pass aya hai
k iss soday main hum nay to
munafa he kamaya hai
yeh kis nay keh dya tum say
mohabbat ki tijarat main
hamain nuqsan aya hai
Restored attachments:
