musafir to bichartay hain, rafaqat kab badalti hai
mohabbat zinda rehti hai, mohabbat kab badalti hai
tumhin ko chahtay hain hum tumhin ko pyar kartay hain
yehe barson say adat hai, adat kab badalte hai
tumhain jo yaad rakha hai yehe apni ibadat hai
jo pathar pe likhi hai, ibarat kab badalte hai
kali ka phool banna aur bikhar jana
yehe qanon-e-fitrat hai, fitrat kab badalti hai
jo dil pe naqhsh kae jaye aur ankhon me simat aye
alamat hai yeh chaht ki, chahat kab badalti hai
ussay chaha ussay poja yehe tauqeer hai apni
hamain gumrah mat samjho, ibadat kab badalti hai
puranay zakhm ko arshad bhula dena he acha hai
na chahay ap he koi to qismat kab badalte hai