Mohabbat k safar mein koi bhi rasta nahen deta
Zameen wakif nahin banti falak saya nahen deta
Khushi or dukh k mausum sub k apne apne hoty hain
Kisi ko apne hissy ka koi lamha nahen deta
Udasi jis k dil mein ho usi ki neend urti hai
Kisi ko apni ankhon se koi sapna nahen deta
Uthana khud hi parta ha thaka tota badan apna
K jab tak sans chalti ha koi kaandha nahen deta.