mohabbat k charaghon ko hawa kaisay bujhayegi
hawa pur zor hai, pur shor hai, monh zor hai lekin
hawa chalak hai, saffaak hai, bay baak hai lekin
hawa yelghaar hai, azaar hai, talwaar hai lekin
hawa bay meher wehshi leher hai, pur qeher hai lekin
mohabbat k charaghon ko hawa kaisay bujhayegi
jo khaliq hai mohabbat ka, jo hafiz hai mohabbat ka
jo zaamin hai mohabbat ka, wohi maalik hawa ka hai
to phir kaisay hawa ko sarkashi karnay ka yara ho
mohabbat k charaghon ko hawa kaisay bujhayegi
chalo ehd e guzishta ka hawalay samnay rakh kar
nateejay par pohanchtay hain
agar ab tak nahi samjhay
to iss tarah samjhtay hain
hamain tareekh k album say ek tasweer milti hai
k darya jis ka ghussa pal main kashti ko dibota hai
isharaa paa k khaliq ka
kisi janbaz k kachay gharay ko goad main lay kar
kinaray tak bhi lataa hai
yehi qudrat ka sikka hai
jo har ek shay pe chalta hai
to jan e jan
agar apni mohabbat bhi
wisaal e jism o jan ki aarzi rahat say bartar hai
badan kay qurb say agay, buhat agay ki manzil hai
yeh ek anmol rishta hai
yeh do rohon ka bandhan hai
to phir wehshi hawa fitrat ki marzi aur mansha par
faqat mabham isharay say, badal kar apni fitrat ko
mohabbat k charaghon ki hifazat khud he karlay gi
MOHABBAT K CHARAGHON KO HAWA KAISAY BUJHAYEGI