kya tum ko aisa lagta hai ke hum khud dhundtay
hain apnay rishton ko
suno JANA ! kabhi aisa nahi hota
tumharay aur meray chahnay se kuch nahi hota
ke sab rishtay , sabhi bandhan kahin pehlay se rakhay hain
wo saray anay walay pal jo akhir beet jatay hain
jo hum se jeet jatay hain
wo sab se pehlay rakhay hain
samajh kar soch kar rakhay hain saray pal , sabhi rishtay, sabhi mausam
Mohabbat bhi tou lamha hai, Mohabbat bhi tou mausam hai
yeh kis ke dil pay utray ga
kahan par kab khulay ga, kon si galiyon main mehkay ga
na janay kon sa dil is ke rangon main fana ho ga
na janay kon is lamhay ko patay hi ghani tareek
galiyon ki musafit se reha ho ga
wazahat hum nahi kartay
mohabbat hum nahi kartay
ke yeh tou jadugarni hai jo hum ko dhund leti hai
hamain pehchan leti hai
kisi masroof kamray main pari bekaar cheezon se
yeh hum ko chaan leti hai
hamari ungliyon ke nakhunon main sans leti hain
kabhi jab zakhm khulta hai
bason aur daftaron ki bheer main bhi yeh hamaray sath rehti hai
hamaray sath chalti hai
lahu ki dhoop main chup chap jalti hai
hina ki khushbuon main jab utarti hai
hamari jaan leti hai
yeh hum main bandh deti hai nay mausam , nay suraj , sitaray aur khushbu
yeh hum ko soonp deti hai
koi aizaz jis ka
maan rakhna farz hota hai
yeh hum par bojh banti hai-- yeh hum par qarz hota hai
kahan kis par nichawar karni hai
yeh chahat hum nahi kartay
suno janan! mohabbat hum nahi kartay
Re: Mohabbat hum nahi kartay
WOW… Very Beautiful Barbie … ![]()
Tnx for The Beauty ![]()
Re: Mohabbat hum nahi kartay
Very Nice :k:
Re: Mohabbat hum nahi kartay
Good one..![]()
![]()
Dil-e-NaadaN tujhe hua kia hai
Aakhir iss marz ki dawa kia hai
![]()
Re: Mohabbat hum nahi kartay
thanks
Re: Mohabbat hum nahi kartay
:k:
Re: Mohabbat hum nahi kartay
so sunny saab kya khayal hai phir
Re: Mohabbat hum nahi kartay
4 wut ![]()