mohabbat chup nahi rehti.

Re: mohabbat chup nahi rehti.

(42)

woh kahti hai: mai apnay dil mai ek dewar uthao gi
mai kahta ho kay mai i sbaat ka matlab nahi samjha

woh kahti hai: ankhoo mai koi sehra basaoo gi
mai kahta ho kay benaye jhuls jaye gi asay tu

woh kahti hai mai pairoon par tumhara bakht likho gi
mai kahta ho paroo’n say adawat hai tumhay koi

woh kehti hai: mai pani par tera chehra banaoo gi
mai kahta ho mujhay lagta hai tera dil bhi pani tha
woh kahti hai tum kisay mujrim samjhtay to
mai kahta ho: usay jo dard kay mani na samjha ho

(43)

woh mujh say pochti hai jhoot aur sachaiya’n kya hain
mai kahta ho kay neeyat aur nataiej ki pazeeraiye

woh mujh say pochti hai sub say pahlay kon rahta tha
mai kahta ho kay andaza ya mafrooza hi mumkin hai

woh mujh say pochti hai kon rah jaye ga duniya mai
mai kahta ho kay bilkul ek naye aur ajnabi duniya

woh mujh say pochti hai: maut kay baray mai bataoo gay
mai kahta ho: khat tanseekh hai aghaaz say pahlay

woh mujh say pochti hai jangaloon mai kon rahta hai
mai kahta ho: wohi jo shehar mai rahnay say khaieef hain

(44)

woh mujh say pochti hai asmanoon say paray kya hai
mai kahta ho: na weranay na abadi na barbadi

woh mujh say pochti hai: waqt ko tum kya samjhtay ho
mai kahta ho kay har ehsaas kay adaad ki ginti

woh mujh say pochti hai kya khuda ko mantay ho tum
mai kahta ho yaqeenan aur usay mehsoos karta ho

woh mujh say pochti hai: ye muzahib kay masaail kya
mai kahta ho kay dunia kay baray logo ki batain hain

woh mujh saypochti hai khwab ki tabeer kay baray
mai issay pochta ho: aqal ki jageer kay baray

(45)

woh mujh say pochti hai zindagi kay raaz kay baray
mai issay pochta ho dharkanoo’n kay saaz kay baray

woh mujh say pochti hai raat aur din ki musafat kya
mai kahta ho: ye saye hain kisi qaidi musafir kay

woh mujh say pochti hai hum agar kuch bhi nahi hain tu
mai kahta ho: nahi hona bhi hota hai jahanoo’n mai

woh mujh say pochti hai aql kya hai aur dil kya hai
mai kahta ho kay bus ek ikhtalaaf-e-amal peham hai

woh kahti hai kay dewanoo’n ka koi kya bharoosa hai
mai kahta ho: bharosay kaliye duniya hi kya kum hai

(46)

woh mujh say kahti hai kisi ko mut bata dena meray baray
mai kahta ho magar ek geet ko aur chandani shub ko

woh kahti hai suno farhat mujhay tum say mohabat hai
mai kahta ho: meri jaan tum to khud meri rayazaat ho

woh kahti hai ye saray logh kyu batain banatay hain
mai kahta ho: meri jaan ye mohabat ka muqadar hai

mai kahta ho: muhabat kayenati geet hoti hai
woh thora gunguna kay ansoo’n mai doob jaati hai

woh mujh say pochti hai har tarf ek baykali kyu hai
mai kahta ho: koi anjaam a’apohncha hai basti mai

(47)

woh mujh say pochti hai baysar-o-samaa’n kub say ho
mai issay pochta ho: is qadar nadaan kub say ho

woh mujh say pochti hai kon lawaris hai maqtal mai
mai kahta ho wohi jo qatl karnay kaliye aye

woh mujh say pochti hai shehar ki halat ka kya hoga
mai kahta ho koi kuch din mai balain lout jaye gie’n

woh mujh say pochti hai: karbala kya phir bapa hogi
mai kahta ho: nahi: ab is qadar tanha nahi koi

woh boli dard kay is paar bhi ek dard hota hai
mai issay kay baadh kitni dair tak kuch bhi nahi bola

the end
:teary3:

2 Likes

Re: mohabbat chup nahi rehti.

Dilli Hanoz Door Asat :(

Re: mohabbat chup nahi rehti.

ahaa :frowning: Shab thank you so very much for completing it :flower1: It won’t be fair to pick one or two sher as they all are equally beautiful but I still want to quote these shers:

kaha is nay meri itraaf mujh ko qaid rakhti hain

  • kaha mai nay kay in itraaf say bahir nahi kuch bhi *

  • kaha is nay darakht apni jaroon say pyar kartay hain*

  • kaha main nay jarain ek rooz is ko mardaiti hain *

and 39-41 was brilliant like every other page! :k:

Those who read, tried to read or just visited the thread, thank you thank you :=)