Re: mohabbat chup nahi rehti.
(33)woh mujh say pochti hai chand ki basti kaha par hai
mai is ki baat par is ehad mai heraan hota ho
woh mujh say pochti hai kon sooraj mai sulagta hai
woh mujh say pochti hai aur dil ko thaam leti hai
woh mujh say pochti hai: rooh ki larzish kay baray mai
mai kahta ho kay ye to baqarari raqs karti hai
woh mujh say pochti hai almiya kya cheez hoti hai
mai kahta ho: mohabat aur nafrat zidnagi aur mout hai shaied
woh boli sawanoo’n mai ab woh pahlay jasay rung kum kum hain
mai bola ab piya bhi to sakhi kay sath kum kum hain
(34)
woh boli: nain kuch kahtay huway aksar jhapaktay hain
mai bola: dil mai bethay choor ko rasta nahi milta
woh kahti hai kay jhanjhar ab tumhay maiel nahi karti
mai kahta ho: tumhay ab zindagi qail nahi karti
woh kahti hai kay peelay phool bhi khusbho nai daitay
mai kahta ho: judaye theek hai chubhti nahi dil mai
woh kahti hai hawain pairsay manoos hoti hain
mai kahta ho kay in kay darmiyan rishta purana hai
(35)
woh kahti hai sadain parbatoo’n say lout ati hain
mai kahta ho kay in ko in say takarana nahi ata
woh kahti hai fizaa’ain husn say abad rahti hain
mai kahta ho agar is husn ki taqdees baqi ho
woh kahti hai wafain shehar say bezaar kyu kar hain
mai kahta ho itnay chup dar-o-dewar kyu kar hain
woh boli asmaano ki tarf nazarain nahi uthti
mai kahta ho kay shaied boojh parta ho nigahoo’n par
(36)
woh kahti hai zameen pairoon kay nechay sard kyu kar hai
mai kahta ho zameen hum say bohat naraz rahti hai
kaha is nay meri itraaf mujh ko qaid rakhti hain
kaha mai nay kay in itraaf say bahir nahi kuch bhi
kaha is nay darakht apni jaroon say pyar kartay hain
kaha main nay jarain ek rooz is ko mardaiti hain
kaha is nay khuda achay buray ki baat sunta hai
kaha main nay usay awaaz ki pehchan ati hai
woh boli: mai chehktay badloon ki gungunahat ho
mai bola: tum mehkatay motiya ki muskurahat ho
(37)
woh boli: mai suhanay mosamoon kay geet jasi ho
mai bola: tum haseen dehatoo’n ki pareet jasi ho
woh boli: mai chamakti chandni kay rung jasi ho
mai bola: tum muhabat kay puranay jhag jasi ho
woh boli: mai samandar par ki janat say aye ho
mai bola: mai tumharay khas istaqbal ko aya
woh kahti hai kay mujh say titliya bhi pyar karti hain
mai kahta ho: inay tum bagh kay phool si lagti ho
(38)
woh kahti hai mujhay jugnoo bhi choonay kaliye aye
mai kahta ho: tumhay woh chand ki mehma’n samjhatay hain
woh kahti hai meri awaz ko gunbad tarastay hain
mai kahta ho: tumhari baazgasht mehbaa’n chahain
woh kahti hai mai huns dou to fizaian raqs kar uthay
mai kahta ho tu roday to ghatain raqs kar uthain
woh kahti hai prainday pyar say mujh ko bulatay hain
mai kahta ho shajar aksar teray qisay sunatay hain
woh boli: dard aksar raat ko soya nahi karta
mai bola: is tarha to koi bhi roya nahi karta
baqi kal ![]()