Mohabbat abar hai to ban ker teri pyas ajaun

Samundar hath may lay kay teray paas aa jaun
mohabbat abar hai to ban ker teri pyas aa jaun

tumhari zindagi ko sans ki jaisay zarurat hai

hawa ban kay may teri zindagi ko raas a jaun

falak ki chand taaron ki agar tum ko musafat ho
basurat abr ban ker tumhari aas aa jaun

agar deewangi hai shart-e-awwal rah-e-ulfat may
faqt dil hi nai kho ker har ik ahsaas aa jaun

jahan kay khoobsurat harf teray naam ker dalun
liye har ik hunr-e-dilkash tumharay paas aa jaun

barhti jaati hai talkhi is tarah jevan may kyun
may lay ker phir mohabbat ki woh sheerin aas aa jaun…!!!

Re: Mohabbat abar hai to ban ker teri pyas ajaun

nice,

agar deewangi hai shart-e-awwal rah-e-ulfat may
faqt dil hi nai kho ker har ik ahsaas aa jaun



is ashaar ki 2nd line kuch ajeeb lagii...