**wo mere aablon pe henna rakhny aaye hain
dil keh raha hai koi naya zakham layee hain
kitni badl gai hai tere shehr ki fiza
logon ne aasteenon main khanjar chupaye hain
khwaabon ke saray taj mehal dhair ho gaye
jis simat daikhta hon udasi ke sayee hain
ab un ki be-wafaai ka kis se karain gilaa
hum ne jaan boojh ke ye zakham khayee hain
logo! mujy batao ye kesi bahaar hai?
ghunjchay udas, phool lahoo main nahayee hain
zindaaN main beeRion ki khanak taiz ho gai
Anwar mohabaton ne ajab din dikhaye hain**