**mohabato key nisaab jeysa,
wo ik chehra kitab jeysa,
mehakta hey meyray qalb-o-jaa’n mein,
wo shakhs khilty gulaab jeysa,
yaqee’n bhi hey wo meyray dil ka,
gumaa’n bhi hey saraab jeysa,
mein socho’n usko to toot ja’ay,
khayaal nazuk habaab jesa,
wo baansuri hay jo hont rakho’n
jo choo key dekho’n rubaab jeysa,
dhanak key rango’n mein wo chpa hey,
nigah-e-baara’n mein khuab jeysa,
mein uskey aagay na deikh paao’n
wo ik sarpa naqaab jeysa…!!!**
Re: mohabato key nisaab jeysa
**mein uskey aagay na deikh paao’n
wo ik sarpa naqaab jeysa…!!!
itni kaali mehbooba…
Bano Qudsia kehti hain ke agar kisi mard ko badsoorat aurat ka roop dus le to wo janam janam ka rogi bun jata hai.
waise kia badsoorat aurat ka bhi koi roop hota hai? 
**
tarash
3
Re: mohabato key nisaab jeysa
haan usay badroop kehtay hain
Re: mohabato key nisaab jeysa
badroop lafz KKF ki dictionary main nahin :D
tarash
5
Re: mohabato key nisaab jeysa
ab ADD kar dety hain