tu tasswar main mere ik aaina-e-hoor hai
sochta hoon tu haqeeqat hai ya koi noor hai
tu kahaan hai main kahaan hoon jaanta koi nahi
kia kahoon main kis qadar ye zindagi majboor hai
maanta hoon zindagi har pal khushi deti nahi
par tera gham bhi mohabat main mujhey manzoor hai
aaik insaan hai mager mujhko khuda jesa lagay
dil main rehta hai mager nazroo se kitna door hai
na kabhi dekha hai tujhko na kabhi mil paounga
is mohabat main muqadar ka yahe dastoor hai