teri nigah ki tareef kiye jaata hoon
jaam per jaam mohabat ke piye jaata hoon
ajab nasha hai samajh main mere nahi aata
mai hosh main hoon mager phir bhi larkhrata hoon
mai piyaar tujhse jataoon to kis tarha humdum
ke jab bhi dekhon tujhey khud ko bhool jata hoon
ye jaanta hoon ke tu piyaar ke mukhalif hai
mager mai phir bhi mohabat ko aazmata hoon
najane loog kiyoun kehtey hain mujhko deewana
main tere piyaar ki jab bhi qasam uthata hoon
tu mera akas hai ya meri aankh ka dhoka
jahaan nazar main uthaon mai tujko paata hoon