One of the good nazams
Agar kabhi meri yad ai
to chand ratoon ki naram dil ghir roshni mein
kisi sitarai ko deekh laina
agar woh nakhal-e-faleek sai urr kar tumharai kadmoon mein a ghirai to
yeh jan laina woh istaera tha merai dil ka
agar na ai ----
magar yeh mumkeen hi kis tarha hai kah tum kisi par nigha dalo
to us ki deewar-ejan na tootai
woh apni hasti na bhool jai!
agar kabhi meri yad aai
garaiz karti hawa ki lahroon pai haath rakhna
mein khosboo mein tumheen miloon ga
mujai gulab ki pation mein talash karna
mein aows katroon kai ainoon mein tumheen miloon ga
agar sitaroon mein, aows qatroon mein, khoshboon mein na pao muj ko
to apnai qadmoon mein deikh laina
mein gird hoti musaftoon mein tumheen miloon ga
kaheen pai roshan charag deekho to jan laina
kai har patangai kai saath mein bhi bikhar chuka hoon
tum apnai haathoon sai un patangoon ki khak darya mein dal daina
mein khak ban kar samandroon mein safar karoon ga
kisi na deekhai huai jazirai pai ruk kai tum ko sadain doon ga
samdanroon kai safar pai niklao to us jazirai pai bhi utrna
By: Amjad Islam Amjad