Agar Kabhi Mairee Yaad Aiy
Too Chand Ratoon Key Dilgeer Roshni Main
Kisse Sitaray Ko Dekh Leena
Agar Woh Nakhal-e-Falak Say Urr Kar Tumharay Qadmoon Main Aa Giray Too Jan Leena
Woh Istiaara Tha Mairay Dil Ka
Agar Na Aiy?..
Magar Yeh Mumkin He Kis Tarah Hai Keh Kisee Par Nigah Daloo
Too Uss Key Dewaar-e-Jaan Na Tootay
Woh Apni Hasti Na Bhool Jaiy!!!
Agar Kabhi Mairee Yaad Aiy
Guraiz Karti Hawa Key Lehroon Pay Hath Rakhna
Main Khushbuon Main Tumhain Millon Ga
Mujhay Gulab Patiuon Main Talash Karna
Main Oos Qartay Kay Aienay Main Tumhain Million Ga
Agar Sitaron Main, Oos Khusbouoon Main
Na Paoo Mujh Koo
Too Apnay Qadmoon Main Deekh Leena
Main Gard Hooti Musaftoon Main Tumhain Millon Ga
Kaheen Pay Roshan Chirag Deekhoo Too Jaan Leena
Keh Hur Patangay Kay Saath Main Bhee Sulagh Chuka Hun
Tum Apnay Hathoon Say In Patangoon Key Khakh Darya Main Daal Deena
Main Khakh Bun Kar Samundroon Main Safar Karoon Ga
Kisse Na Deekhay Howay Jazeeray Pay Ruk Kay Tumhain Sadain Doon Ga
Samundroon Kay Safar Pay Nikloo Too
Uss Jazeeray Pay Kabhi Utarna!
Meiji