La_iba
1
Mizaaj hum se ziyada juda na tha us ka
jub apnay taur yahi thai to kia gila us ka
woh apnay za’am main tha,bekhabar raha mujh se
usay gumaan bhi nahin main nahin raha us ka
woh barq roo tha magar reh gaya kahan janay
ab imtizaar kerain gay shikasta paa us ka
chalo yeh seel-e-bilakhaiz hi banay apna
safina us ka,khuda us ka,nakhuda us ka
yeh ahl-e-dard bhi kis ki duhai detay hain
woh chup bhi ho to zamana hai humnawa us ka
hameen ne tarq-e-ta’aluq main pehal ki ke Faraz
woh chahta tha magar hausla na tha us ka
Amal
6
Re: Mizaaj hum se ziyada juda na tha us ka
Bohat khoob La’iba:k:…thanx for sharing:)
ullujii
10
Re: Mizaaj hum se ziyada juda na tha us ka
:k: