MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

Yeh ab KHula keh koi BHi manzar mera na THa
MaiN jis main reh raha THa wahee GHar mera na THa

MaiN jis ko eik umr samBHalay PHira keeya
MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

Moj e hawaye SHar e muqaddar jawab dey
Darya meray na THay samandar mera na THa

Sub log apnay apnay qabeeloN kay saaTH THay
Ek maiN hee Tha keh koi bhi laSHkar mera na THa

Re: MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

kiyaa baat hai.. aaj tau heeraY jaR rahai ho bhai.. aik saY baRh kar aik :)

Re: MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

Shukria bas aap kee sohbat ka asr hai, warna man Aanam keh man daanam

Re: MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

hehe

Zubaan-e-Yaar-e-Ma'n Turki Na Mee Daanam :)

Re: MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

^Lol that was Persian not Turkish :P

Re: MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

I dunno Turkish anyway :D

except the word Kardosh (brother)

Re: MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

you know another Turkish word Urdu which means laSHkar :)

Re: MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

I know that word in Urdu, not in Turkish ;-)

Re: MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

MaiN jis main reh raha THa wahee GHar mera na THa

ho hay kis k ghar maiN rah rahya ap/ ghar damaad tu nahi bun gaye kahiN kisi k :p
chaa gaye o tusi tey g :)

Re: MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

^ Aray janab yeh tu Iftikhar Arif sahab farma rahay hain na, hum tu type ker rahay. Ab unnsay poochna paRay ga keh kaheen woh tu wahan nahee reh rahay, normally he comes here every year.

Re: MiTTi bata rahee hai woh pekar mera na THa

buhut khub :k:

Awesome :)