Re: ~~~ Missing someone ~~~
Maya mem sahab itna asan hota to kb ka a chuka hota ![]()
Re: ~~~ Missing someone ~~~
Maya mem sahab itna asan hota to kb ka a chuka hota ![]()
Re: ~~~ Missing someone ~~~
maya sorry bolo … warna mai sab ko bta doo ga .. tum kise miss krti hoo …soch loo …devil looks
Re: ~~~ Missing someone ~~~
socho socho…
yar qasam say itna mazay ka mosam hai ..Pura lahore foggy hai… mere kamray ki windows say fog itni khubsurat lag rai hai
Re: ~~~ Missing someone ~~~
hehe gud gal … or abb mjhe kuch achi sii poetry sunayoo ..sabash
Re: ~~~ Missing someone ~~~
thori si fog phank lo
aqal par acha asar karey gi:rotfl:
nahi sunaaaun gi poetry
Re: ~~~ Missing someone ~~~
kyu gala kharab hai .. ya nakhun mai dard hai … ya billi nay cheenk diya hai … …tellooo
Re: ~~~ Missing someone ~~~
yeah kya gandy bachoo wali zid pakar li hai … suna doo nah … warna i will cry …mummy !!
Re: ~~~ Missing someone ~~~
Barishoan k mosam main
abb ki baar socha hai
khushbuaon say larnay ki
aansoo bahanay ki
aadatan badal daalain
phir khyal aaya k
aadatain bdalnay say
Barishain nahi ruktien!!!
Re: ~~~ Missing someone ~~~
waah waah kia nazam sunaaii hai to ab kiske liye aah o giryaa o zaarii hai?
Re: ~~~ Missing someone ~~~
zaroori to nahi k kisi k liye aah o zaari ki jaey…
Re: ~~~ Missing someone ~~~
zindagi k baishter rangoan main say aik rang yeh bhi hai… to hum iss rang say kiu na lutf andoz hoan?
**
waah waah waah…shaa’ira ho kia? masha Allah…agar aisii baat hai to ham giryaa o zaarii ko aaNsuuoN se mutaashaabeh kar ke yeh gaanaa gaate haiN:
barkhaa raanii, zaraa jam ke barso
meraa dilbar jaa na paaye, jhoom kar barso!
barkhaa raanii, zaraa tham ke barso
mere pee aa jaayeN to jam ke barso!**
wahhh … u know wat k ur taste is just like mine … hugs
bht bht bht bhttttttttttttttttttttttttttttttttttttttt achi thi
Re: ~~~ Missing someone ~~~
shaira to nahi… adab say lagao zarur hai…koi na koi kitaab sarhanay zaroor dhari rehti hai…
hmmm gugunaao yehi gaanaa…![]()