misl-e-Khayaal aaye the aa kar chale gaye
duniya hamari Gham ki basa kar chalay gaye
pholon ki aas dil se lagaye hoye thy hum
khante wo raston main bicha kar chalay gaye
aai na thi humary chaman main bahar abi
wo khawab aashiyaan main laga kar chalay gaye
bholay se bhi kabhi na dil hum bhula sakay
dil se humain wo apnay bhula kar chalay gaye
Re: misl-e-khayaal aaye thy aa kar chalay gaye
***barey masoom jazboob se
wo apne shokh hathoon par
wafa ki surkh mehndi se
USSi ka naam likhti ha....
jisse wo pyar krti ha..
magar wo na-samaj larki
abhi tk ye nahi samjhi
k sapney toot jaen to
bohat barbaad krtey hian
yeh uljhey rang hathon par
kabhi tehra nahi krtey
mohabat to haqeqat ha ..
koi sapna nahi hota
kissi ka naam likhney se
koi apna nahi hota.......***
Re: misl-e-khayaal aaye thy aa kar chalay gaye
^ Wah wah wah...meri life story :(...dil pay lug gayi baat...
Daanie
4
Re: misl-e-khayaal aaye thy aa kar chalay gaye
nice sharing :)