Ab woh kisi aur se kehtey hon gey
Tum se bichrein gey tou marr jaein gey
jis ke ankhain mujay andar say b parh sakti hoon
koi chehra to meray shaihar mai aisa la day
Aitbaar Tootay Tu…
Woh bhi aisay Logoon per
Jin ko apna hum Janain
Jab bhi Ghum say Bhojal Hoon
Un ko Meharbaan Manain
Aitbaar Tootay Tu
Aisay Zakhum miltay hain
Jo kabhi Nahin Bhartay
Meharbaan Saye Jab Hum
Say Rooth Jaien Tu
Aisi Dhoop Milti Hai
Jis Main Rooh Jalti Hai
Aitbaar Tootay Tu
Dil kay Aainaay Jo hain
Woh bhi Tooth Jatay hain
Woh jo Aks Apnay Hoon
Woh Bhi Rooth Jatay Hain
Aitbaar Tootay Tu
Aisay Zakhum miltay hain
Aisi Dhoop Milti Hai
Aisay Aks Khotay Hain
Loogh Hans Bhi Lain Shayad
Dil Hamesha Rootay Hain
Aitbaar Tootay Tu…!!!
khayal tha k sunaian gay haal-e-dil liken
ham us k samnay arz-e-hunar b bhool gaiay
daikha nahien tanhaiee mai tum nay kabi us ko
bichrhay howay logoon ko wo roya b bohat hay
Laakh doori ho magar Ehd nibhaataY rehna
Jub bhee Baarish ho mera soug manaatay rehna
Tum gaYe ho tau sar-e-shaam ye aadat Thehri
Bus kinaaray pay khaRay haath hilaatay rehna
Chupke Chupke Ro Lena..
Jab seena gham se boojhal ho
Aur yaad kissi ki aati ho
Tab kamray maiN band ho jana
Aur chupke chupke ro lena
Jab ankhaiN baaGhi jo jayaiN
Aur yaad maiN meri bhar ayaiN
Phir khud ko dhooka matt dena
Aur chupke chupke ro lena
Ye dunya zaalim dunya hay
Ye baat buhu phelayegi
Tum saamnay sab ke chup rehna
Aur chupke chupke ro lena
Jab palkaiN karb se moondi hoN
Aur sab samjhaiN tum soi ho
Tabb muN pe takia rakh lena
Aur chupke chupke ro lena
Jab baarish chehra dhoo Daalay
Aur ashk bhi boondaiN lagti hoN
Wo lamhay hargiz matt khoona
Aur chupke chupke ro lena
ban gaYa hay ik khawab sa jo zindgee ka
wo shakhs rehta ik khayal he to acha tha
akhir bhool gaya na IMRAN ab ghar ka rasta
yonhi baysababb na phira karta to acha tha
Mujhe lehje samajh mein atey hain
Apne alfaz ko ab tarteeb na dey!
Dil kaley kolon munh kala changa
Jey koi is non janey Huu
Achaa? tujhe lagaa keh tu gayaa to sab gyaa?
Sara manzar mera rafeeq hai suraj k baad ka
Jis tarf dekho yehi rasm e jahan hai Mohsin
Be’hunar gosha nasheen, Ehl e hunar aawara
درد شدت کا ھو اور ہمدرد کوئی نہ ھو
ایسے تلخ ایام بھی آتے ھیں زندگی میں
Samney hota hai lekin mujhe radd krta hai
Baaz auqaat tou aaina bhi hadd krta hai
Dil ki takleef kum nahi kerte
Koi shikwa ab hum nahi kerte
Rola sara mukk jawey ga
Jis din saah ruk jawey ga!
Apni baton mein aa gya tha main
Warna kia tujh ko janta na tha…
Khamoshi ki kitni zubanein hain na
Dukh, Zidd, Ghussa, Anaa, Shukr!
