Rone se aur ishq me.n bebaak ho gaye
Dhoye gaye ham aise ki bas paak ho gaye
Kahataa hai kaun naalaa-e-bul_bul ko beasar
Parde me.n gul ke laakh jigar chaak ho gaye
Karane gaye the us se taGaaful kaa ham gilaa
Kii ek hii nigaah ki bas Khaak ho gaye
Is rang se uThaa_ii kal us ne ‘Asad’ kii naash
Dushman bhii jis ko dekh ke Gam_naak ho gaye