zabaan o bayaan o andaaz se to Ghalib kaa kalaam nahiiN lagtaa…ab dekhiye aam kii madHa meN yeh kalaam-e-Ghalib aur donoN ke maa_bai’n farq dekhiye aur Khud faisla kijiye:
**
haaN dil-e-dardmaNd zam-zamah saaz
kyuN na kholey dar-e-khazina-e-raaz
khaame ka safhey par rawaaN hona
shaakh-e-gul ka hai gul-fishaaN hona
mujh se kyaa puuchtaa hai kya likhiye
nukta haaye khirad fazaa likhiye
baare, aamoN ka kuch bayaaN ho jaay
khaama-e-nakhl rutab-fishaaN ho jaay
aam kaa kaun mard-e-maidaaN hai
samar-o-shaakh, guey-o-chogaaN hai
taak ke jee meiN kyuN rahey armaaN
aaye, ye guey aur ye maidaaN!
aam ke aagey pesh jaave khaak
phoDta hai jaley phapholey taak
na chalaa jab kisee tarah maqdoor
baadaa-e-naab ban gayaa angoor
ye bhi naachaar jee kaa khona hai
sharm se paani paani hona hai
mujhsey pucho, tumheN khabar kya hai
aam ke aagey neyshakar kya hai
na gul us meiN, na shaakh-o-barg, na baar
jab khizaaN aaye tab ho us ki bahaar
aur dauDaayiye qiyaas kahaaN
jaan-e-sheeriN meiN ye miTThaas kahaaN
jaan meiN hoti gar ye sheerini
koh-kan baa-wajud-e-gham_geeni
jaan deney meiN is ko yakta jaan
par woh yuN sahl dey na sakta jaan
nazr aata hai yuN mujhe ye samar
key dawakhaana-e-azal meiN makar
aatish-e-gul pey qand kaa hai qiwaam
sheerey key taar kaa hai resha naam
^^ yes jab nisaab mein parhaa thaa tou laga thaa ke ghalib ka nahin lagta, but kai saal pehle radio par bhi sunaa tha, host ney kuch letters parh kar sunaye thay ghalib ke, woh letter poora find karun gaa time milaa tou…