aadaab, dosto!
**Ghazal
Gham-e-hijr-e-yaar kab tak? rahooN be-qaraar kab tak?
mire dil! bataa yeh mujh ko, karooN us ko pyaar kab tak?
yeh hujoom-e-naa-muraadee, Gham-e-be-shumaar kab tak?
‘tiree baat kaa bharosah, tiraa intizaar kab tak?!’
shab-e-hijr kee udaasee kaheeN mujh ko le nah Doobe!
miree dhaRkanoN peh ho gaa tiraa iKhtiyaar kab tak?
nah hee aaj kaa bharosah, nah hee kal kee haiN umeedeN
tiree reh-guZar takooN meN, shab-e-waSl-e-yaar! kab tak?
jahaaN dekhiYe andheraa! jahaaN sochiYe udaasee!
rah-e-zindagee meN yaa Rab! rahe gaa Ghubaar kab tak?
maiN nikal paRee thee tanhaa, liYe saare ranj dil par
magar phir Khayaal aayaa keh sahooN yeh baar kab tak?
miree aankheiN tak rahin hain tiri waapsi ki raahein
tu hi ab bataa de mujhko karun intizaar kab tak?!!
mujhe yooN to de gayaa hai woh dilaasah jaate jaate
magar ab yeh sochtee hooN, karooN e’tibaar kab tak?
bahut iltijaa ki us ne keh "Shumaa’ila! na jaao "
magar us kee be-dilee kaa bhalaa sehtee waar kab taK? !!!
Shumaila**