Milnay aatay ho tu phir laut kay jaatay kiyon ho

Apnay haathon se yun chehray ko chupaatay kiyon ho
Mujh se sharmaatay ho tu saamnay aatay kiyon ho

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-wafa
Pyaar kartay ho tu phir pyaar chupaatay kiyon ho

Ashk aankhon mein meri dekh kay rotay kiyon ho
Dil bhar aataa hey tu phir dil ko dukhaatay kiyon ho

In se vaabastaa hey jab mera muqaddar phir tum
Mere shaanon se ye zulf hatatay kiyon ho

Roz mar mar kay mujhay jeenay ko kahtay kiyon ho
Milnay aatay ho tu phir laut kay jaatay kiyon ho

Re: Milnay aatay ho tu phir laut kay jaatay kiyon ho

Bohut khoob

Re: Milnay aatay ho tu phir laut kay jaatay kiyon ho

Thankyou Shan Paa g..

Nice1 :k:

Bundle of thanks!