Milkar judaa howe to na soyaa kareinge hum

Milkar judaa howe to na soyaa kareinge hum
ek duusare kii yaad mein royaa kareinge hum

aansoo chalak chalak ke sataayenge raat bhar
moti palak palak mein piroyaa karenge hum

jab duriyoin kee aag dilon ko jalaaye gee
jismon ko chandani mein bhigoyaa karenge hum

gar de gayaa daGaa hamein tuufaan bhi Qateel
saahil pe kashtiyon ko Duuboyaa karenge hum

Re: Milkar judaa howe to na soyaa kareinge hum

Juda honay ki koi fikar koi gamm nai nai hay, balkay poori future planning karli, k yeh karaingay wo karaingay ... :s

new new ideas aarahay hain :s

ps: achi hay, shukria

Re: Milkar judaa howe to na soyaa kareinge hum

gar de gayaa daGaa hamein tuufaan bhi Qateel
saahil pe kashtiyon ko Duuboyaa karenge hum
Beautiful sheR ehsan g
thanks for sharing abhi tu mil b na paa’ey they sahi taRha aur abhi se jhuda’ee ki batiN :blush: :smiley:

Re: Milkar judaa howe to na soyaa kareinge hum

Aap toh mujhey terrorist lagti hain, kashtiyan doobann rahee hain. :slight_smile: