milay thay hum kisi moor par, na usay khabar na mujhay khabar
k khayal-o-khuwab ka tha safar, na usay khabar na mujhay khabar
na woo saan may na gumaan may, na salam tha na payaam tha
kisay kis nay dekha tha choonk kar, na usay khabar na mujhay khabar
dard-e-dil pay naram si dastakain, kisay roktay kisay tooktay,
woo mehak thi jaan may gaye utar, na usay khabar na mujhay khabar
kabhi us k senay may mera dil, bara naatuwaan bara muzmahil
meray rukh pay us ki hai chashm-e-tar, na usay khabar na mujhay khabar
dil-e-muztarib rahaain kab talak kisi bay khabar k khayal may
kisay dhondtay rahain umar bhar, na usay khabar na mujhay khabar
kabhi khoo gayee sabhi rastay,kabhi rastoon say palat gayee
kahan us ka ghar, kahan mera ghar, na usay khabar na mujhay khabar
thay nazar may ajnabi rastay,tu yeh kaisay aa gaya yak ba yak
sar-r-raah chahatoon ka nagar, na usay khabar na mujhay khabar