mil naa sakaa dil ko agar pyaar tumhaaraa

mil naa sakaa dil ko agar pyaar tumhaaraa
aanaa pa.Degaa mujhako duniyaa me.n dubaaraa
Daal par gulaab ke shabanam hai zindagii
pyaar ke liye to bahut kam hai zindagii
u.Datii huI is umr ko ik teraa sahaaraa
apanii ye chhoTii sii mulaaqaat bahut hai
jitanii der teraa mile saath bahut hai
bar ek jhalak ek nazar ek sahaaraa

[quote]
Originally posted by Almi:
mil naa sakaa dil ko agar pyaar tumhaaraa
aanaa pa.Degaa mujhako duniyaa me.n dubaaraa
Daal par gulaab ke shabanam hai zindagii
pyaar ke liye to bahut kam hai zindagii
u.Datii huI is umr ko ik teraa sahaaraa
apanii ye chhoTii sii mulaaqaat bahut hai
jitanii der teraa mile saath bahut hai
bar ek jhalak ek nazar ek sahaaraa

[/quote]
s

madhur(sweet) swapn(khwaab) hain wahi woh ,tum jin me aate ho..... behoshi (insleep) mein sahi , pyaar to kar jaate ho.... har shikwey , har giley kaa uttar paas tumhaarey..... hairaani se taak rahe hain chaand sitarey..... shahad meri neendoon mein priyatam ghol rahe ho...... Mun (dil) ko chhoo leta hai , jo kuch bol rahey ho........ un barsoN ki batoon ka anmol khazaana..... liye yuheen aksar merey sapnoN me anaa...... iss zariye (by this way) se har eik uljhan chhant sakeNgay ..... jo kuch lamhey baaqi haiN woh baant sakeNgey...... iss zariye se hum tum phir badnaam na hoNgey...... duniya bhar ke hum tum par ilzaam na hoNgey...... Aoge (if u come )to yeh bhi eik ehsaan rahega..... Nah aaye to yeh bhi eik Armaan rahega... Aas lagayee neendoN ko bai-aas na karna....... meri in tajveezoon par perihaas(mazaaq urHana) na karna......