mil kar judaa hue to na soya karen ge hum
ek doosre kii yaad mein royaa karen ge hum
aanso chalak chalak ke sataayen ge raat bhar
motii palak palak mein piroyaa karen ge hum
jab dooriyon kii aag dilon ko jalaaye gii
jismon ko chaandanii mein bhigoyaa karen ge hum
gar de gayaa dagha hamein tofaan bhii ‘Qateel’
saahil pe kashtiyon ko Duboyaa karen ge ham