Mil Gaya Tha To Usy Khud Se Khafa Rakhna Tha

**Mil Gaya Tha To Usy Khud Se Khafa Rakhna Tha
Dil Ko Kuch Der To Masroof-e-Dua Rakhna Tha

Main Na Kehta Tha k Sanson Se Atay Hain Rastey
Ghar Se Nikley Thay To Hathon Men Asa Rakhna Tha

Baat Jab Tark-e-Talluq Pe He Thehri Thi To Pher
Dil Me Ahsas-e-Gham-e-Yaar Bhe Kya Rakhna Tha

Daaman-e-Mauj-e-Hawa Youn To Na Khali Jata
Ghar Ki Dehleez Pe Koi To Diya Rakhna Tha

Koi Jugnu Tah-e-Daaman Bhe Chupa Saktey Thay
Koi Aansu Pas-e-Mazgan He Bacha Rakhna Tha

Kaya Khabar Us k Ta-aqub Me Hon Kitni Sochain
Apna Andaz To Ouron Se Juda Rakhna Tha

Chandni Band Kiwaron Me Kahan Utrey Gi
Ek Dareecha To Bharey Ghar Me Khula Rakhna Tha

Us Ki Khushbu Se Sajana Tha Jo Dil Ko Mohsin
Us Ki Sanson Ka Laqab Mouj-e-Saba Rakhna Tha. . . .!!!**

Re: Mil Gaya Tha To Usy Khud Se Khafa Rakhna Tha

:lajawab: kia baat hy
her shair lajawab

nice sharing :clap: shukriya

Re: Mil Gaya Tha To Usy Khud Se Khafa Rakhna Tha

:lajawab:

Re: Mil Gaya Tha To Usy Khud Se Khafa Rakhna Tha

:hat: