was listening to the album Silsilay (Jagjit and Javed Akhtar) last night.
Yeh ghazal goonjey jaa rahi hai :
Mey ney dil sey kahaa…
Mey ney dil sey kahaa,
Aye deewaney bataa…
Jub sey koi milaa…kyuun hai khoyaa huyaa??..
yeh kahani hai kyaa…hai yeh kyaa silsilaa??..
Mey ney dil sey kahaa…
dharkano mey chuppi kaisi awaaz hai…?
kaisaa yeh geet hai kaisa yeh saaz hai…?
kaisi yeh baat hai, kaisa yeh raaz hai…?
Aye deewaney bataa…
Mere dil ney kahaa… :
Jubb sey koi milaa…
chand taare fizaa…
phuul bhanwrey hawa…
yeh haseen waadiyaan…
neela yeh aasmaan…
subb hai jaise nayaa
mere dil ne kahaa…
Mey ne dil se kahaa… mujh ko yeh tow bataa
jo hai tujh ko milaa… uss mey kyaa baat hai??
kyaa hai jadoogari??.. kon hai woh pari??
Aye deewaney bataa…
Mere dil ne kahaa… :
Naa woh koi pari… naa koi mehjabeen…
naa tow duniyaa mey subb sey hai ziaada haseen
seedhi saadhi see hai… bholi bhaali si hai
lekin uss mey adaa ik niraali si hai…
uss ke binn mera jeena hi bekaar hai…
Mey ne dil sey kahaa…
Baat itni si hai… key tujhey pyaar hai…
Mere dil ney kahaa… :
Mujh ko iqraar hai… haaN mujhey pyaar hai…
haaN mujhey pyaar hai… haaN mujhey pyaar hai.
Enjoy,
Umar.
[This message has been edited by Umar Talib (edited April 09, 1999).]