Woh dar khula mery ghumkadey ka
woh aa gaye mery milney waley
woh aa gayi shaam, apni rahooN meiN
farsh-e-afsurdagi bichhaney
woh aa gayi raat chaand tarooN ko
apni a’arzudgi sunaney
woh subhu aayi damkatey neshtar say
yaad kay zahm ko mananey
woh dupehr aayi, aasteeN meiN
chhupaye sholooN key taazyaney
yeh aaye sab mery milney waley
keh jin say din raat wasta he
yeh koon kab aya kab geya he
nigah-e-dil ko khabar kahan he