Merii pasandeedah filmii GhazleN...

Re: Merii pasandeedah filmii GhazleN…

**
waah janaab, waah! bahooot Khoob. kia zabardast Ghazal aapne marHamat farmaayii hai. shukria.

ji, inshaa Allah maiN zaroor janaab e ustaad moHtaram Shahryaar saaHib kaa kalaam chaspaaN karuuNgaa. ****:slight_smile:

vaise, Umraao Jaan kii tamaam tar Ghazaliyaat mausoof ne hii qalam_band kiye the. usii film kii teen Ghazlen maiN aapkii Khidmat emN pesh karne kii jasaarat kartaa huN. mulaaHizah farmaaiye:**