**salaam dosto
yeh merii zindagii kii pahlii Ghazal hai. maiN use uskii aslii soorat meN pesh kar rahaa huN is liye us meN GhalatiyaaN haiN. sirf yeh dikhaanaa maqsood thaa k pahli Ghazal kaisi lagii aapko? aapkii aaraa kaa intizaar rahegaa. shukria ![]()
PS: aapne meN se kia koii bataa saktaa hai k is Ghazal ke kin kin ash’aar meN kia kia GhaltiyaaN haiN?****
faqat Khaak_nashiiN
_______Hashmat
be_rukhii tum ne baRhaa lii, kyuN?
aarzuu merii baRhaa dii, kyuN?
mah_jabiiN tere jabiiN par yuuN
khuun kii biNdiyaa sajaa dii, kyuN?
soz-e-dil, soz-e-jigar se phir
aag ghar ko hii lagaa dii, kyuN?
dil talaashe hai sitam_gar ko
sham’a yaadoN kii jalaa dii, kyuN?
har taraf unke khayaaloN se
ik naii duNyaa basaa lii, kyuN?
yaar ko yaad karuuN sahvan
yaad yaadoN kii bulaa lii, kyuN?
tar_ba_tar halqe haiN aaNkhoN ke
jhiil nainoN meN banaa lii, kyuN?
chheR khuubaaN se chalii jaaye
to, na ho ziist niraalii, kyuN?
aaNsuu yeh aab-e-hayaatii haiN
hai yeh saughaat niraalii, kyuN?
dar dam-e-subH-e-shab-e-vaslat
dii azaaN us ne Bilaalii, kyuN?
kujaa aahoN ka asar “Sahbaa”!
qahet-e-zohd-e-rijaalii, kyuN?**