Merii Nigaahon kay Ainay meiN haiN Naqsh ab tak wisaaL Lamhay
Yehi Mata-e-Hayaat haiN aur yehi haiN HaasiL kamaaL Lamhay
yeh Zindagi kay Niralay Mosam humain to ab tak samajh na aaey
jo yaad gaar-e-Hayaat thehray thay ab tak wohi wabaaL Lamhay
Tumhara kya hay keh tum tou Rastay badaL k bilkul sakoon say ho
Humain tou masmaar kar gaey haiN Judaai kay yeh NidhaaL Lamhay
Humain bhala kab khabaR thi JanaN humain bhaLa kab pata tha Jana
Jo maat kar day gii apnaa JeewaN, chalain gay aise bhi chaaL Lamhay
Humain to apna aap bhii ab shafaf dikhta nahi hay Logo
Humari AankhoN meiN bhar gaey haiN yeh kesi Gard-e-malaaL Lamhay