~Merii Nigaahon kay Aaenay meiN~

~*~
Merii Nigaahon kay Aaenay meiN, haiN Naqsh ab tak wisaaL Lamhay
Yehi Mataa-e-Hayaat haiN aur yehi haiN HaasiL kamaaL Lamhay

yeh Zindagi kay Niraalay Mosam humain tou ab tak samajh na aae
jo yaad-gaar-e-Hayaat thahrey they ab tak wuhi wabaaL Lamhay

Tumhara kya hay keh tum tou Rastay badaL ke bilkul sakoon say ho
Humain tou masmaar kar gae haiN Judaai kay yeh NidhaaL Lamhay

Humain bhala kab khabaR thi JanaN,humain bhaLa kab pata tha JanaaN
Jo maat kar day gii apnaa JeewaN, chalain gii aesii bhii chaaL Lamhay

Humain tou apna hi aap bhii ab shifaaF dikhtaa nahiN hay Logo
Humari AankhoN meiN bhar gae haiN yeh kaesi Gard-e-malaaL Lamhay
~*~

Re: ~Merii Nigaahon kay Aaenay meiN~

Beautiful:k:

http://www.jordysworld.de/emoticons/xjury08.gif

very nice 1 *Gul sis * :)

bhut khoob gul :k:

:k: nice one G-E-Tea

Re: ~Merii Nigaahon kay Aaenay meiN~

[QUOTE]
Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
~
~
Merii Nigaahon kay Aaenay meiN, haiN Naqsh ab tak wisaaL Lamhay
Yehi Mataa-e-Hayaat haiN aur yehi haiN HaasiL kamaaL Lamhay

yeh Zindagi kay Niraalay Mosam humain tou ab tak samajh na aae
jo yaad-gaar-e-Hayaat thahrey they ab tak wuhi wabaaL Lamhay

Humain bhala kab khabaR thi JanaN,humain bhaLa kab pata tha JanaaN
Jo maat kar day gii apnaa JeewaN, chalain gii aesii bhii chaaL Lamhay

Humain tou apna hi aap bhii ab shifaaF dikhtaa nahiN hay Logo
Humari AankhoN meiN bhar gae haiN yeh kaesi Gard-e-malaaL Lamhay
~*~
[/QUOTE]

buhat umdaa Gul ... especially last shair

Very Nice gul sister :flower2:

Re: ~Merii Nigaahon kay Aaenay meiN~

[QUOTE]
Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
~
~
Merii Nigaahon kay Aaenay meiN, haiN Naqsh ab tak wisaaL Lamhay
Yehi Mataa-e-Hayaat haiN aur yehi haiN HaasiL kamaaL Lamhay

yeh Zindagi kay Niraalay Mosam humain tou ab tak samajh na aae
jo yaad-gaar-e-Hayaat thahrey they ab tak wuhi wabaaL Lamhay

Tumhara kya hay keh tum tou Rastay badaL ke bilkul sakoon say ho
Humain tou masmaar kar gae haiN Judaai kay yeh NidhaaL Lamhay

Humain bhala kab khabaR thi JanaN,humain bhaLa kab pata tha JanaaN
Jo maat kar day gii apnaa JeewaN, chalain gii aesii bhii chaaL Lamhay

Humain tou apna hi aap bhii ab shifaaF dikhtaa nahiN hay Logo
Humari AankhoN meiN bhar gae haiN yeh kaesi Gard-e-malaaL Lamhay
~*~
[/QUOTE]

bohat khoob!!!

Bohot khoob:k:

Beautiful :k:

Buhat Khoob :k:

Thanks all:flower1:

bahut khoob gul e tasbeeh behen!