**salaam dosto,
kaise mizaaj haiN? ummeed hai k ba_Kahir hoNge ![]()
aaj maiN apnii ek zaraa “phaRaktii” huii Ghazal aap logoN ke saamne pesh karne kii jasaarat is ummeed ke saath kar rahaa huuN k shaayad aap kii taba’-e-naazuk par baar e giraaN na guzre aur apnii besh bahaa aaraa se zaroor navaazeNge…shukria. to Ghazal Haazir e Khidmat hai, mulaaHizah farmaaiye:
faqat Khaak nashiiN,
Hashmat**
**1.
Hayaa aayii, adaa aayii, Ghuroor aayaa, Hijaab aayaa
hazaaroN aafateN le kar HaseenoN kaa shabaab aayaa
laRakpan kaa jahaaN badlaa, qayaamat kaa shabaab aayaa
kisii kii kam-sinii meN ek rangiiN inqilaab aayaa
baland o past ho kar jab zavaal-e-aaftaab aayaa
to ban kar noor kii tanveer meraa maahtaab aayaa
vo paas aaye to aaNkheN uThaane kaa na taab aayaa
rahe jab door to ham par judaaii kaa 'azaab aayaa
nigaaheN neechii neechii aur tabassum halkaa halkaa saa
k jaise kam-sinii par kheltaa uThtaa shabaab aayaa
tirii zulfoN kaa kuchh is andaaz se ruKhsaar par girnaa
ghaTaa ghanghor aayii, roo e 'aalam par saHaab aayaa
shabaab un par bahaar-e-zindagii laayaa, aur ham par
balaa aayii, sitam aayaa, jafaa aayii, 'etaab aayaa!!!
sitam iijaadiyoN se jis ne looTii zindagii apnii
sar e maHshar vohii phir saamne Khaana Kharaab aayaa
baRii mushkil se jab vo saamne aaye, to yaa Allah!
Hijaab-e-deed ban kar ham pe dil kaa iztiraab aayaa
huaa aHsaas hamko umr bhar kii apnii 'asyaaN kaa
farishta Hashr meN jab saamne le kar Hisaab aayaa
qasam khaaii thii ham ne baadah_Khowaarii se , magar tauba!
na saabit rah sakii jab saamne jaam e sharaab aayaa
Khudaa jaane farishtoN ne qalam kiuN rok lii apnii
kitaab e zindagii meN jab mirii KhushiyoN kaa baab aayaa
azal se karte aaye haiN gunaahoN ko magar, yaa Rab!
tire raHm o karam kaa aaj tak kisko Hisaab aayaa
na lauTaa namah_bar aur hichkiyaaN lene lagii jaaN jab
ajal kii shakl meN aaKhir mire Khat kaa jawaab aayaa
15
jalaane waale! tu apnaa nateeja soch le, har dam
bujhaa kartii hai shamm’a jab ufaq par aaftaab aayaa
16.shab-e-furqat kii ghaRiyaaN yuN kaTii mushkil se, “Sai’Hbaa JI!”
na vo aaye, na chai’n aayaa, na neend aayii, na Khowaab aayaa**