*meri zubaan se meri daastaan suno to sahi
yaqeen karo na karo meherbaan suno to sahi
*
*chalo ye maan liyaa mujrim-e-mohabbat hain
hamaare jurm kaa hamse bayaan suno to sahi
*
*banoge dost mere tum bhi dushmanon ek din
meri hayaat ki aah-o-fugaan suno to sahi
*
labon ko si ke jo baithe hain bazm-e-duniyaa main
kabhi to unki bhi khamoshiyaan suno to sahi
kahoge vaqt ko mujarim bhari bahaaron main
jalaa thaa kaise meraa aashiyaan suno to sahi
*
*~~~~~***~~~~~
Sudarshan Fakir
~~*****
Re: meri zubaan se meri daastaan suno to sahi
*labon ko si ke jo baithe hain bazm-e-duniyaa main *
*kabhi to unki bhi khamoshiyaan suno to sahi *
*kahoge vaqt ko mujarim bhari bahaaron main *
*jalaa thaa kaise meraa aashiyaan suno to sahi *
Nice;
hontoan ko see chukay tau zamanay ye kaha
ajee chupp si kia lagee hay kuch tau boliaay
Re: meri zubaan se meri daastaan suno to sahi
:k:
Re: meri zubaan se meri daastaan suno to sahi
very nice!
Re: meri zubaan se meri daastaan suno to sahi
wow!