Meri Zindagi ka her aik pal
teray husan say hai jura howa
Teray hont phirkain to subah hai
teri zulf bikhray to raat hai
Tera haath haath main ho agar
to safar hi asal-e-hayat hai
Meray saamnay hain manzilain
tera piyar ger meray saath hai
Meri baat ka meray hum nafas
tu jawab day ka na day mujhay
Teri aik chup main jo hain chupi
woh hazar batoon ki baat hai
by SAHIR LUDHYANVI