Meri Zindagi tu faraQ hai,wO azal se dil Main Makeen sahi

Meri Zindagi tu faraQ hai,wO azal se dil Main Makeen sahi
WO nigaah-e-shoQ se dur hain rag-e-jaa’n se lakh Qareen sahi

HaMein jan deni hai aik din,wO kisi tarah wO kahin sahi
HaMien aap khainchiye daar par,jO nhi kOi tu haM hi sahi

Sar-e-tOr hO sar-e-hashr hO,haMein intezar QabOol hai
WO kabhi Milein,wO kahin Milein,wO kabhi sahi,wO kahin sahi

Na hO un pe jO Mera bas nhi,k ye ashQi hai hawas nhi
Main unhi ka tha,Main unhi ka hOn,wO Mere nhi,tu nhi sahi

Mujhe baithne ki jaga milay,Meri aarzOo ka bharaM rahay
Teri anjuMan Mein agar nhi,teri anjuMan k Qareen sahi

Tera dar tu huM kO na Mil saka,teri rahguzar ki zaMeen sahi
HaMein sajda karne se kaaM hai,jO wahan nhi tu yaheen sahi

Meri Zindagi ka naseeb hai,nhi dur Mujh se Qareeb hai
Mujhe uska ghuM tu naseeb hai,wO agar nhi tu nhi sahi

JO hO faisla wO sunaye,use hashr par na uthaye
JO karein ge ap sitM waha,wO abhi sahi,wO yaheen sahi

usey deekhney ki jo lo lagi tu naseer deekh he lein gey hum
woh hazaar ankh sey dur ho woh lakh parda nasheen sahi

Re: Meri Zindagi tu faraQ hai,wO azal se dil Main Makeen sahi

Boht Alaaa,.....