Meri Zindagi tou Firaaq hay,wuh azal say diL meiN makeeN sahi
Wuh nigaah-e-shauQ say duur haiN,rag-e-jaa’n say laakh qareeN sahi
Humain jaan deni hay aik din,wuh kisi tarah wuh kahaiN sahi
Hamain aap khainchiye waar par,jo nahiN koi tou hameeN sahi
Sar-e-tuur sar-e-hashr ho,hamaiN intezaar qabuul hay
Wuh kabhi milaiN,wuh kahin milain,wuh kabhi sahi,wuh kahin sahi
Na ho un pe meraa bass nahiN ,ke ye Aashqi hay hawas nahiN
maiN unhi ka tha,maiN unhi ka hun,wuh merey nahiN,tou nahiN sahi
Mujhey baithney ki jaga milay,meri Arzuu ka bharam rahay
teri anjuman meiN agar nahiN, teri anjuman kay qareeN sahi
Meri Zindagi ka naseeb hay ,nahiN duuR mujh sey qareeb hay
mujhey uska ghum tou naseeb hay ,wuh agar nahiN tou nahiN sahii
Jo ho faisla wuh sunaaiye, ussey Hashr par na uthaaiye
Jo karain gay aap sitam wahaN ,wuh abhi sahii ,wuh yahiiN sahi
Ussey dekhney ki jo Lau Lagi tou Qateel dekh hi lain gay hum
Wuh hazaar Aankh say duur ho ,wuh hazaar pardah nasheeN sahii
*
by: Qateel Shifaai
Dilsay
2
Very nice.....
And welcome back... after a long time we have your posting... great...
Bahut khoob Gul-e-Tasbheeh :k:
Tere bhi mashwaray shaamil thay tark-e-khwahish mein
Ay mere wehshat-e-dil, ab yeh iztiraab kaisa hai
bohat kohb nice one bohat acha lagah par ke
gr8 stuff
wow kiya kaha he
Meri Zindagi ka naseeb hay ,nahiN duuR mujh sey qareeb hay
mujhey uska ghum tou naseeb hay ,wuh agar nahiN tou nahiN sahii
very nice:k:
Wah…Bohat khoob :k:
Thanks for sharing 
Amal
10
Re: ~ Meri Zindagi tou Firaaq hay ~
Beautiful Gul:k:…thanx for sharing.
Paglee
11
Re: ~ Meri Zindagi tou Firaaq hay ~
[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
Mujhey baithney ki jaga milay,meri Arzuu ka bharam rahay
teri anjuman meiN agar nahiN, teri anjuman kay qareeN sahi
Ussey dekhney ki jo Lau Lagi tou Qateel dekh hi lain gay hum
Wuh hazaar Aankh say duur ho wo hazaR pardah nasheeN sahi
*
]
[/QUOTE]
bohat khoob Gul thanks 4 sharin...:)
Thanks alot:- **Azad, Dilsay, arifnawaz, Pyara sa doost, Gemini Sis, P}{ä®mä©Ï§t, nikii, guybrush,Galaxy, Amal Ji, Paglee sis and Capii **

Lamhay
15
bahut khoob gul gr8 choice!!