meri zindagi bigaar di..

Meri zindagi bigaar di, meri zindagi sanwaar ke,
bikhaira mujhko is qadar, maira aap hi nikhaar ke,

thi kia khata mairee piyar main, tha kab kuch ikhtiyaar main..
bata mujhay tujhay kia mila..mairay piyar ko ujaar ke,

mairay saamnay mila mujhay ik dukh bohat ajeeb saa,
uraaey purzay tukray tukray kerkay mairay piyar ke,

aao kabhi, is haal main daikho hamain, hum mr rahay..
ik zamana ho gaya, hooaay tairay deedaar ke..

is aas p bhi meena, baithi hai teri muntazir..
guzr hi jaaen gay kabhi to pal ye intizaar ke!!!