yeh lafz kia hai? suroor o naGhma yaa surood-e-naGhma yaa phir sur o naGhma?
sur o naGhma to nahiiN ho saktaa kiuN k shaa’irii meN qaanoon-e-izaafat kii roo se jaa’iz nahiiN…chuN k izaafat sirf aur sirf Faarsii aur Arabii alfaaz ke maa-bai’n hii ho saktii hai…chuN k lafz-e-‘SUR’ Hindi kaa lafz hai is liye iskii izaafat jaa’iz na hogii.
nazar-e-saanii kar len plz. ho saktaa hai kitaabat kii Ghalatii ho!
vaise, kis shaa’ir kaa hai yeh kalaam…shaa’ir kaa naam bhii kuchh vazaaHat kar saktaa hai…